Friday, 22 April 2016

Ek Jahilana Post Aur Uska Jawab

BAD'MAZHAB ILM SE YATEEM AQAL SE PEDAL WAHABI KA FAREEB AUR USKA JAWAB
“Assalaamu Alaekum Warahmatullaahi Wabarakaatahu
Alagh alagh Shirkiya kalmaat  aur Allaah Ta’ala ke jawaabaat QURAN mein:
Shirk#1:
 Bhar De Jholi Meri Ya Mohammad….
 >Al-Quran: Aey Nabi aap keh dijiye insano se ke tumhare nafa aur nuqsan ka ikhtiar sirf Allah ke paas hay
 (Surah Jin:21)
Shirk#2:
 Shah-e-Madina, Sare Nabi Tere Dar Ke Sawali…
>Al-Quran: Aey logo! tum sirf Mere dar ke faqeer ho…
(Surah Fatir:15)
Shirk#3:
 Jo Mang Dar-e-Mustafa Se Maang…
>Al-Quran: Jo maango sirf Mujh se maango, sirf
 Mai tumhari Dua Qabool krta hun
 (Surah Momin:60)
Shirk#4:
 Maula Ali Meri Kashti Paar Laga De…
>Al-Quran: Jab kashti mei sawar hote hain to
 Allah ko pukarte hain
 (Surah Ankabut:65)”
Dalail (Quran-o-Hadees)–>
Huzoor-e-Akram
 (صلی اللہ علیہ وسلم)
ki tareef (naat) ko shirk kehny wale badmazhab tauba karein !
Naat 1->
 Bhar do jholi meri ya muhammad…
Jawaab->
Al-Quran->Aur jo kuch tumhe Rasool ata farmayein wo lo
 (surah Al-hashr ayaat no.7)
Al-Quran-Aur inhe kya bura laga yehi na ke Allah aur Rasool ne inhe apne fazl se gani kar diya
 (surah Al-Tauba ayaat no.74)
Naat 2->
 Shah-e-Madina saare Nabi tere dar ke sawali….
Jawaab->
 Al-Quran->Aur yaad karo jab Allah ne paigambaron se inka ahad liya (surah Al-Imran Ayaat no.81)
Al-hadees->Nabi-e-Pak (صلی اللہ علیہ وسلم) ne farmaya,
“Allah deta hai aur main taqseem karta hun”
(Bukhari shareef jild 1 safha 16)
Naat 3->
 jo mang dare mustafa se mang….
Jawaab->
Al-Quran->Aur agar jab wo apni jaano par zulm karein toh aye mehboob tumhare huzur hazir hon aur phir Allah se maafi chahein aur Rasool inki shafayat farmayein toh zaroor Allah ko bahut tauba qubul karne wala meherban payein
 (Surah Al-Nisa ayaat no.64)
Istagasa 4->
 Maula Ali meri kashti paar laga dena….
Jawaab->
Al-Quran->tumhare dost nahi magar Allah aur uska Rasool aur Imaan wale
 (surah Al-Maida ayaat no.55)
 (kya hazrat Ali (رضی الله عنہ) imaan wale nahi..?)
Al-hadees->Nabi-e-pak (صلی اللہ علیہ وسلم) ne farmaya,
“Beshak Ali mujh se hain aur main Ali se hun aur Ali har momin ka madadgar hai mere baad”
(tirmizi shareef jild 2 safha 212)
Naat 5->
 Norani noor har bala door
Jawaab->
 Al-Quran->Toh beshak Allah inka madadgar hai aur jibrael aur neik imaan wale aur iske bad farishte (yaani noor) madad per hain
 (surah Al-tahreem ayaat no.4)
Aayein ab aapko batate hain ke yeh log badmazhab kyun quran paak ki ayaat ko galat jagah isemal karke musalmano ko gumrah karte hain….
Hazrat Abdullah bin umar (رضی الله عنہ) farmate hain,
“kharji (jo deen say kharij ho yani badmazhab) itne gumrah log hain ke jo ayaat kafiron (mushrikeen) aur buton (idols,murtiyon) ki mazamat me nazil huyein inko musalman par chispan karte hain”
(sahih bukhari jild 2 sahfa 1024)
Mazeed aayein jante hain ki yeh badmazhab log kyun baat cheet (har baat) par muslmano par shirk ka fatwa laga dete hain ?
Nabi-e-paak (صلی اللہ علیہ وسلم) ne farmaya,
“Mujhe tum par us shaksh ka khauf hai jo quran paak padhega aur is par quran ki ronaq daikhi jaye gi aur usne islam ki chadar odh li ho gi phir Allah jidhar chahy ga usko behka dega wo islam ki chadar se nikal jayega aur apne musalman padosi par talwar chalaye ga aur us par shirk ki tohmat lagayega”
Sahaba ikram (ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨهما) ne pyaare Aaqa (صلی اللہ علیہ وسلم) se pucha
“dono main mushrik kon ho ga ?”
Aap (صلی اللہ علیہ وسلم) ne farmaya,
“shirk ki tohmat laganay wala” (tibrani shareef jild 20 sahfa 88)
{Aayein is topic ko aur clear karlein Allah ka shukr ada karein Sunni bhaiyon aur inke shirk ke fatwon se pareshan hona chodh dein}
Hamare pyare Nabi-e-Paak (صلی اللہ علیہ وسلم) ki gawahi ummat ke naam farmaya,
“khuda ki kasam mujhe yeh khauf nahi ke tum mere baad shirk karne lagoge”
 (Bukhari shareef hadees no.6426)
Allah humein in gumraah logon se bachaye….

Wednesday, 17 February 2016

☪ JAYEZ TAWEEZ LATKAANE SE MUTALIK EK HADEES ☪


☪ JAYEZ TAWEEZ LATKAANE SE MUTALIK EK HADEES ☪
⛔ GHAIR MUQALLIDEEN KO ZAEEF HADEES KEHNE PER JAWAAB
🌟 "Hazrat Abdulla bin Umro bin Al Aas رضي الله عنه se riwayat hai k, Beshak RASOOL ALLAH ﷺ ne farmaya,
⚡ "Jab tum mese koi shaks neend me dar jaye to ye duaa kare, MAIN ALLAH KE GHAZAB SE, USKE AQAAB SE, USKE BANDO KE SHAR SE AUR SHAETAN K WASWASO AUR INKE HAZIR HONE SE "ALLAHA KE KALMAAT TAAMA" KI PANAH ME AATA HU. (ye padh le)
☀ To phir shayateen usko nuqsan nahi pahochayega
🌟 Hazrat Abdulla bin Umro bin Al Aas رضي الله عنه apne baaligh bacchon ko is duaa ki talqeen karte the, aur jo na baligh bacche the unke gale me ek kaaghaz par ye duaa likh kar latka dete the."
📘 Jamaye tirmazi : 3628.
📘 Sunan abudawood : 3893.
📘 Musnad ahemad : 2/181.
📘 Hakim mustadrak : 1..548.
📘 Musannaf ibne abi shayeba : 23537.
🍋 IMAM TIRMAZI رضي الله عنه is hadees ko naqal karne ke baad likhte hain, "YE HADIS HASAN SAHI HAI"
🍊 IMAM ABU DAWOOD رضي الله عنه ke nazdeek bhi ye hadis "HASAN" hai, q k jis hadees par imam Abu Dawood koi HUKM naa lagaye wo inke nazdeek HASAN aur AMAL ki salahiyat rakhti hai..
🍎 Imam Abu Dawood ke mutaliq isi baat ki tayid mohaddiseen se bhi sabit haie
♏aslan..
🌾 IMAM IBN USSALA  SHARAZORI رحمة الله عليه (Mutwaffi..643 hijri) Likhte hain k
☀ "Imam Abu Dawood ne apne maktub me likha h k maine apni is kitab (Sunan Abu Dawood) Me jis hadees ko darj kiya us hadees me jo shadeed ZOEEF hai usko maine bayan kardiya hai...
⚡ Aur jis Hadees ke mutaliq maine koi chiz zikr nahi ki wo SAALEH hai
⚡ Aur baaz ayesi Ahadees baaz dusri Ahadees se zyada "SAHI" hai
📙 Ulumul hadis ibnusala.. safa..33.
🍏 IMAM NAWVI رحمة الله عليه (Mutwaffi..676 hijri)
☀ Imam Abu Dawood ki is ibarat ke mutalik likhte hain, Imam Abu Dawood ki is tahreer ki bina par humne Imam Abu Dawood ki sunan me jis hadees ko mutalaqan paaya aur motamadin (respectable) me kisi ek ne bhi is hadees ko sahi kaha naa daeef kaha to wo hadees Imam Abu Dawood ke nazdeek "HASAN" hai."
📙 Taqribunnawvi ma,a'tadriburrawi : 1..167
🍐 IMAM JALALUDDIN SUWUTI رحمة الله عليه (Mutwaffi..911 hijri) is ibarat ki sharah me likhte hain,
☀ "Imam Abu Dawood ki ayesi hadees istadlal ki salahiyat rakhti hai.. aur motamadin me se kisi ki tasreeh ke baghaer is hadees ko sahi nahi kaha jaayega..
⚡ Isliye is hadis ko HASAN kehne me zyada ehetiyat hai aur isse bhi zyada ehetiyat isko SAALEH kehne me hai"
📙 Imam suwuti..tadriburrawi:1..167.
⚠ Waazeh rahe k Imam Abu Dawood ne is taweez waali hadees ko riwayat karne k baad ispar kisi qism ke ZOAF yaani ZAEEF ka hukum nahi lagaya,
♻ Pas mazkur sadar tasrihaat ke mutabiq ye taweez waali hadees Imam Abu Dawood ke nazdik bhi HASAN hai
🍓 IMAM HAKIM رحمة الله عليه (Mutwaffi..405 hijri.) ne apni hadis ki kitab AL MUSTADRAK me is tawiz wali riwayat ko naql karne ke baad likhte hai
⚡ "YE HADIS SAHIHUL ISNAAD HAI."
🍑 IMAM DAHBI رحمة الله عليه (Mutwaffi..848 hijri) Ne bhi is hadees par jarah nahi ki, balke khud is hadees se istedlaal kiya hai.
📙 Imam dahbi Al tabunnabwi:281.
📛 Ghaer muqallido k aaj k zamane k sardar ALBANI ne bhi is hadis ko apni SAHI TIRMIZI me darj kiya hai 2793.
📛 Ek aur Ghaer muqallid aalim AHMAD SHAKIR ne bhi MUSNAD AHMAD BIN HAMBAL k haashiye par iski SANAD  ko SAHIH likha..
📙 Musnad Ahmad bin Hambal.. Tiba Darul Hadees Qahira : 6696
Subhan ALLAH
✅ Is HASAN SAHIH Hadees e paak se aur Mohaddiseen ki Tashrih k baad ye baat wazeh huyi k  balaon se bachne ki khaatir ALLAH ke kalaam ko gale me taweez banakar latkaana jayez hi nahi balke Sahaba ka bhi amal hai..
☪ ALLAH hame haq ko samajhne ki taufiq ata farmaye
آمين بجاه سيد المرسلين ﷺ

Featured post

T.M.C Hospital Kauasa Mumbra Thane

  T.M.C Hospital Kauasa Mumbra Thane Is Hospital Me 120 mm Cable 400 mt Aur 70 mm Cable 150 mt Hamari Team Ne dalkar 5 Panel fiting kiya Cab...