Wednesday, 17 February 2016

☪ JAYEZ TAWEEZ LATKAANE SE MUTALIK EK HADEES ☪


☪ JAYEZ TAWEEZ LATKAANE SE MUTALIK EK HADEES ☪
⛔ GHAIR MUQALLIDEEN KO ZAEEF HADEES KEHNE PER JAWAAB
🌟 "Hazrat Abdulla bin Umro bin Al Aas رضي الله عنه se riwayat hai k, Beshak RASOOL ALLAH ﷺ ne farmaya,
⚡ "Jab tum mese koi shaks neend me dar jaye to ye duaa kare, MAIN ALLAH KE GHAZAB SE, USKE AQAAB SE, USKE BANDO KE SHAR SE AUR SHAETAN K WASWASO AUR INKE HAZIR HONE SE "ALLAHA KE KALMAAT TAAMA" KI PANAH ME AATA HU. (ye padh le)
☀ To phir shayateen usko nuqsan nahi pahochayega
🌟 Hazrat Abdulla bin Umro bin Al Aas رضي الله عنه apne baaligh bacchon ko is duaa ki talqeen karte the, aur jo na baligh bacche the unke gale me ek kaaghaz par ye duaa likh kar latka dete the."
📘 Jamaye tirmazi : 3628.
📘 Sunan abudawood : 3893.
📘 Musnad ahemad : 2/181.
📘 Hakim mustadrak : 1..548.
📘 Musannaf ibne abi shayeba : 23537.
🍋 IMAM TIRMAZI رضي الله عنه is hadees ko naqal karne ke baad likhte hain, "YE HADIS HASAN SAHI HAI"
🍊 IMAM ABU DAWOOD رضي الله عنه ke nazdeek bhi ye hadis "HASAN" hai, q k jis hadees par imam Abu Dawood koi HUKM naa lagaye wo inke nazdeek HASAN aur AMAL ki salahiyat rakhti hai..
🍎 Imam Abu Dawood ke mutaliq isi baat ki tayid mohaddiseen se bhi sabit haie
♏aslan..
🌾 IMAM IBN USSALA  SHARAZORI رحمة الله عليه (Mutwaffi..643 hijri) Likhte hain k
☀ "Imam Abu Dawood ne apne maktub me likha h k maine apni is kitab (Sunan Abu Dawood) Me jis hadees ko darj kiya us hadees me jo shadeed ZOEEF hai usko maine bayan kardiya hai...
⚡ Aur jis Hadees ke mutaliq maine koi chiz zikr nahi ki wo SAALEH hai
⚡ Aur baaz ayesi Ahadees baaz dusri Ahadees se zyada "SAHI" hai
📙 Ulumul hadis ibnusala.. safa..33.
🍏 IMAM NAWVI رحمة الله عليه (Mutwaffi..676 hijri)
☀ Imam Abu Dawood ki is ibarat ke mutalik likhte hain, Imam Abu Dawood ki is tahreer ki bina par humne Imam Abu Dawood ki sunan me jis hadees ko mutalaqan paaya aur motamadin (respectable) me kisi ek ne bhi is hadees ko sahi kaha naa daeef kaha to wo hadees Imam Abu Dawood ke nazdeek "HASAN" hai."
📙 Taqribunnawvi ma,a'tadriburrawi : 1..167
🍐 IMAM JALALUDDIN SUWUTI رحمة الله عليه (Mutwaffi..911 hijri) is ibarat ki sharah me likhte hain,
☀ "Imam Abu Dawood ki ayesi hadees istadlal ki salahiyat rakhti hai.. aur motamadin me se kisi ki tasreeh ke baghaer is hadees ko sahi nahi kaha jaayega..
⚡ Isliye is hadis ko HASAN kehne me zyada ehetiyat hai aur isse bhi zyada ehetiyat isko SAALEH kehne me hai"
📙 Imam suwuti..tadriburrawi:1..167.
⚠ Waazeh rahe k Imam Abu Dawood ne is taweez waali hadees ko riwayat karne k baad ispar kisi qism ke ZOAF yaani ZAEEF ka hukum nahi lagaya,
♻ Pas mazkur sadar tasrihaat ke mutabiq ye taweez waali hadees Imam Abu Dawood ke nazdik bhi HASAN hai
🍓 IMAM HAKIM رحمة الله عليه (Mutwaffi..405 hijri.) ne apni hadis ki kitab AL MUSTADRAK me is tawiz wali riwayat ko naql karne ke baad likhte hai
⚡ "YE HADIS SAHIHUL ISNAAD HAI."
🍑 IMAM DAHBI رحمة الله عليه (Mutwaffi..848 hijri) Ne bhi is hadees par jarah nahi ki, balke khud is hadees se istedlaal kiya hai.
📙 Imam dahbi Al tabunnabwi:281.
📛 Ghaer muqallido k aaj k zamane k sardar ALBANI ne bhi is hadis ko apni SAHI TIRMIZI me darj kiya hai 2793.
📛 Ek aur Ghaer muqallid aalim AHMAD SHAKIR ne bhi MUSNAD AHMAD BIN HAMBAL k haashiye par iski SANAD  ko SAHIH likha..
📙 Musnad Ahmad bin Hambal.. Tiba Darul Hadees Qahira : 6696
Subhan ALLAH
✅ Is HASAN SAHIH Hadees e paak se aur Mohaddiseen ki Tashrih k baad ye baat wazeh huyi k  balaon se bachne ki khaatir ALLAH ke kalaam ko gale me taweez banakar latkaana jayez hi nahi balke Sahaba ka bhi amal hai..
☪ ALLAH hame haq ko samajhne ki taufiq ata farmaye
آمين بجاه سيد المرسلين ﷺ

Featured post

T.M.C Hospital Kauasa Mumbra Thane

  T.M.C Hospital Kauasa Mumbra Thane Is Hospital Me 120 mm Cable 400 mt Aur 70 mm Cable 150 mt Hamari Team Ne dalkar 5 Panel fiting kiya Cab...